lipat ke turbat se boli madar utho sakina chalo watan ko rehaayi zindaan se paayi dilbar utho.... ye poochti thi bahut tha armaan reha kab honge yahan se amma wo waqt ab aagaya mayasar utho........... ye neend kaisi hai aankhen kholo pukaarti hoo mai kab se bolo khudara khao taras ye maa par utho........ tumahari chup se mareez bhai bukaen kar deta hai duhayi phupi bhi dekho hai kitni muztar utho......... kahan pe hai dard kuch batao ghareeb maa ko na yun rulaao gale se lagjao mere utkar utho....... safar yahan se hai karbala ka wahan pe ammu se karna shikwa waheen pe tumko milega asghar utho.... hue ho jab se khamosh beta na jaane phat ta hai kyun kalayja ajeeb zindaan ka hai ye manzar utho............... baghair tere ho kaise jaana batayenge hum bhi qaid-khana mai kaise jaungi payshe sarwar utho....... anees qaide sitam ki haalat na pooch barpa thi ek qayamat rabab kehti thi jaa tadapkar utho..........